Pages

Powered by Blogger.
RSS

Ke Tu Mile N Mile Teri Justajoo Hi Sahi | Ghazal

AppId is over the quota
AppId is over the quota

If you liked this post then don't forget to leave a like rating and sharing.

.

Jahan tak mumkin ho saka urdu ke mushkil alfaaz ka matlab samjhane ki koshish ki hai, ummid hai sirf hindi samajhne waale bhi is ghazal ko aasani se samajh sakenge.

<< Mohsin Naqvi >>

*

Mujhe khala* mein bhatak ne ki aarzoo hi sahi
Ke tuu mile n mile teri justajoo* hi sahi

Khlaa = Space / Antriksh | Justajoo = Talash / Khoj

*

Qareeb aa shab-e-tanhaai*, tujh se pyaar karun
Tamam din ki thakan kaa ilaaj too hi sahi

shab-e-tanhaai = aekaant ki raat

*
Bade khuloos se* milta he, jab bhi miltaa hai
Woh be-waafa to nahin hai, bhanah joo* hi sahi

khuloos se = sachche dil se / imandari se | Bhana joo = bhanebaaz

*

Magar wo abr samandar pe kyun brasta hai
Zameen baanj sahi, Khaak be numoo* hi sahi

be numoo = banjar / aviksit

*

Tum apne daagh-e-sar-e-peirahan* ki baat karo
Hamara daman-e-sad chaak* be-rafoo hi sahi

daagh-e-sar-e-peirahan = Peirahan pe laga daagh | daman-e-sad chaak = taar taar / sau jagah se phata daman

*

Ye naaz kam to nahin he ke un se mil aaye
Woh ek pal ko sar-e-raah guftagoo hi sahi

*
Jo apne aap se sharmaaye kisse baat kare
Mein aaine ki taraah us ke roobroo* hi sahi

roobroo = saamne

*

Kisi tarah to ye tanhaaiyoN ki shaam kate
Visaal-e-yaar* nahin, qurbate-adoo* hi sahi

Visaal e yaar = yaar se milan | qurbat e adoo = dushman ka saath

*

Ye sajda-e-sar-e-maqtal* ka waqt hai “Muhsin”
Khud apne khoon-e-rag-e-jaaN se ab wazoo* hi sahi

sajda-e-sar-e-maqtal = qatalgaah par sajda / qurban hona | khoon-e-rag-e-jaaN se ab wazoo = khoon mein nahana

*

______________________________________________________________________

<< Facebook | Twitter >>

_____________________________________________________________________

View the original article here

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment